halqa-e-chashm mera soch ke nam hota hai
halqa-e-chashm mirā soch ke nam hotā hai
jaane ab kis pe tirā dast-e-karam hotā hai
phuul dete hue logoñ ko batā.e koī
ye ḳhasāre kī taraf pahlā qadam hotā hai
aur vo kitnā navāze tujhe parbat-zādī
mujh sā dariyā bhī tirī aañkh meñ zam hotā hai
hoñT hoñToñ se lage rahne de ai mere tabīb
zaḳhm chāhe na bhare dard to kam hotā hai
jang kī baat use zeb nahīñ detī hai
'mehr' jis shaḳhs ke hāthoñ meñ qalam hotā hai
halqa-e-chashm mera soch ke nam hota hai
jaane ab kis pe tera dast-e-karam hota hai
phul dete hue logon ko batae koi
ye KHasare ki taraf pahla qadam hota hai
aur wo kitna nawaze tujhe parbat-zadi
mujh sa dariya bhi teri aankh mein zam hota hai
honT honTon se lage rahne de ai mere tabib
zaKHm chahe na bhare dard to kam hota hai
jang ki baat use zeb nahin deti hai
'mehr' jis shaKHs ke hathon mein qalam hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.