hum aaj tak agarche use pa nahin sake
ham aaj tak agarche use pā nahīñ sake
tā-hāl is ḳhayāl se baaz aa nahīñ sake
parhez ḳhud 'ilāj hai ye sāmne kī baat
ham apne aap ko kabhī samjhā nahīñ sake
kī us nigāh-e-mast ne vo peshkash ki ham
tauba ke bāvajūd bhī Thukrā nahīñ sake
daurān-e-rāh koī farishta-sifat buzurg
aa.e zarūr the hameñ bahkā nahīñ sake
isrār se bulā.e ga.e the jahāñ vahāñ
ham apnī kāhilī ke sabab jā nahīñ sake
donoñ ne bevafā.ī nahīñ kī tamām 'umr
go ek dūsre ko ham apnā nahīñ sake
muzhda ki is nashist meñ 'anvar-sha'ūr' bhī
tashrīf lā rahe the magar lā nahīñ sake
hum aaj tak agarche use pa nahin sake
ta-haal is KHayal se baz aa nahin sake
parhez KHud 'ilaj hai ye samne ki baat
hum apne aap ko kabhi samjha nahin sake
ki us nigah-e-mast ne wo peshkash ki hum
tauba ke bawajud bhi Thukra nahin sake
dauran-e-rah koi farishta-sifat buzurg
aae zarur the hamein bahka nahin sake
israr se bulae gae the jahan wahan
hum apni kahili ke sabab ja nahin sake
donon ne bewafai nahin ki tamam 'umr
go ek dusre ko hum apna nahin sake
muzhda ki is nashist mein 'anwar-sha'ur' bhi
tashrif la rahe the magar la nahin sake
- Book : Ab Main Aksar Main Nahi Rehta (Pg. 148)
- Author : Anwar Shaoor
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.