hum agar arz-e-muddaa na karen
ham agar 'arz-e-mudda'ā na kareñ
aap kyā kuchh hameñ 'atā na kareñ
aap mālik haiñ apnī marzī ke
aap vā'da kareñ vafā na kareñ
maiñ huuñ dīvāna merī bātoñ ko
aap bhī ġhaur se sunā na kareñ
maiñ marīz-e-ġham-e-mohabbat huuñ
mere haq meñ koī du'ā na kareñ
har sitam kī ik 'umr hotī hai
aap ab zulm-e-nā-ravā na kareñ
mujh ko pahnā ke 'ishq kī zanjīr
zindagī bhar mujhe rihā na kareñ
mujrim-e-‘ishq mujh ko Thahrā kar
mujh se duniyā ko āshnā na kareñ
zulmateñ duur ho nahīñ saktīñ
aap agar dil ko pur-ziyā na kareñ
aap ko kaun dekh saktā hai
aap jab tak nazar 'atā na kareñ
pīr-e-mai-ḳhāna jaam de aisā
ham kabhī hosh meñ rahā na kareñ
hai taqāzā ye 'ishq kā 'sādiq'
ham kisī baat kā gila na kareñ
hum agar 'arz-e-mudda'a na karen
aap kya kuchh hamein 'ata na karen
aap malik hain apni marzi ke
aap wa'da karen wafa na karen
main hun diwana meri baaton ko
aap bhi ghaur se suna na karen
main mariz-e-gham-e-mohabbat hun
mere haq mein koi du'a na karen
har sitam ki ek 'umr hoti hai
aap ab zulm-e-na-rawa na karen
mujh ko pahna ke 'ishq ki zanjir
zindagi bhar mujhe riha na karen
mujrim-e-‘ishq mujh ko Thahra kar
mujh se duniya ko aashna na karen
zulmaten dur ho nahin saktin
aap agar dil ko pur-ziya na karen
aap ko kaun dekh sakta hai
aap jab tak nazar 'ata na karen
pir-e-mai-KHana jam de aisa
hum kabhi hosh mein raha na karen
hai taqaza ye 'ishq ka 'sadiq'
hum kisi baat ka gila na karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.