Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum apne aapko apne se kam bhi karte rahte hain

Farhat Ehsas

hum apne aapko apne se kam bhi karte rahte hain

Farhat Ehsas

MORE BYFarhat Ehsas

    ham apne aap ko apne se kam bhī karte rahte haiñ

    aur is nuqsān par bekār ġham bhī karte rahte haiñ

    uThāte rahte haiñ din-rāt dīvār-e-vajūd apnī

    magar dīvār ko thoḌā ḳham bhī karte rahte haiñ

    ham us ke husn jaadū bhī chaḌhne dete haiñ ḳhud par

    aur apne aap par kuchh paḌh ke dam bhī karte rahte haiñ

    hameñ bhī shahr raunaq balā le jaatī hai aksar

    magar ham shahr raunaq se ram bhī karte rahte haiñ

    hameñ jab ḳhuub chaḌh jaatā hai nashsha apnī hastī

    to us nashshe meñ ham raqs-e-adam bhī karte rahte haiñ

    ye ā.īna hamāre rū-ba-rū jo kuchh bhī kartā hai

    vahī sab aa.ine ke saath ham bhī karte rahte haiñ

    kabhī jab farhat-ehsās apnā afsāna sunāte haiñ

    use apnī haqīqat alam bhī karte rahte haiñ

    hum apne aap ko apne se kam bhi karte rahte hain

    aur is nuqsan par bekar gham bhi karte rahte hain

    uThate rahte hain din-raat diwar-e-wajud apni

    magar diwar ko thoDa sa KHam bhi karte rahte hain

    hum us ke husn ka jadu bhi chaDhne dete hain KHud par

    aur apne aap par kuchh paDh ke dam bhi karte rahte hain

    hamein bhi shahr ki raunaq bala le jati hai aksar

    magar hum shahr ki raunaq se ram bhi karte rahte hain

    hamein jab KHub chaDh jata hai nashsha apni hasti ka

    to us nashshe mein hum raqs-e-adam bhi karte rahte hain

    ye aaina hamare ru-ba-ru jo kuchh bhi karta hai

    wahi sab aaine ke sath hum bhi karte rahte hain

    kabhi jab farhat-ehsas apna afsana sunate hain

    use apni haqiqat ka alam bhi karte rahte hain

    Source:

    Mohabbat Kar Ke Dekho Na (Pg. 122)

    • Author: Farhat Ehsas
      • Edition: First
      • Publisher: Rekhta Publications
      • Year of Publication: 2019
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now