hum apni dawaon ka asar dekh rahe hain
ham apnī davāoñ kā asar dekh rahe haiñ
sahrā meñ mohabbat kā shajar dekh rahe haiñ
ik ḳhvāb kī tā'bīr batā.e koī ham ko
ham saath meñ jiine kā safar dekh raheñ haiñ
lagtā hī nahīñ diid ke qābil tirā chehra
dekhā nahīñ jaatā hai magar dekh rahe haiñ
mar jaate haiñ kuchh log mohabbat ke qafas meñ
aḳhbār meñ ham aisī ḳhabar dekh rahe haiñ
vo jis kī har ik Daal pe baiThe haiñ parinde
ham pyaar se ek aisā shajar dekh raheñ haiñ
kis baat kā mātam hai bapā ghar meñ hamāre
rotā huā har ek bashar dekh rahe haiñ
ho jā.eñge behosh vo 'zīshān' yaqīnan
jo aap kī qātil sī nazar dekh rahe haiñ
hum apni dawaon ka asar dekh rahe hain
sahra mein mohabbat ka shajar dekh rahe hain
ek KHwab ki ta'bir batae koi hum ko
hum sath mein jine ka safar dekh rahen hain
lagta hi nahin did ke qabil tera chehra
dekha nahin jata hai magar dekh rahe hain
mar jate hain kuchh log mohabbat ke qafas mein
aKHbar mein hum aisi KHabar dekh rahe hain
wo jis ki har ek Dal pe baiThe hain parinde
hum pyar se ek aisa shajar dekh rahen hain
kis baat ka matam hai bapa ghar mein hamare
rota hua har ek bashar dekh rahe hain
ho jaenge behosh wo 'zishan' yaqinan
jo aap ki qatil si nazar dekh rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.