hum apni dhun mein magan log is nagar ke nahin
ham apnī dhun meñ magan log is nagar ke nahīñ
yahāñ ke haiñ bhī to ab rāste mafar ke nahīñ
tumheñ ham amn ke mausam meñ milne ā.eñge
hamāre des meñ din in dinoñ safar ke nahīñ
janam janam se hai parvarda-e-ġham-e-hijrāñ
ye daaġh dil pe kisī 'umr-e-muḳhtasar ke nahīñ
siyāh shab hai bahut ehtiyāt ham-safaro
shajar sarakte hue merī rah-guzar ke nahīñ
ḳhud aap apnī shifā hai maraz marīzoñ kā
kamāl is meñ fusūñ-kār chārāgar ke nahīñ
bure bahut haiñ chalan un ke chaal bhī hogī
ġhalat irāde mire ik bhī ham-safar ke nahīñ
batāne aayā huuñ dastak ke baa'd kyā huā thā
maiñ jā rahā huuñ tirā intizār kar ke nahīñ
kabhī vo baaġh meñ ḳhud bhī dikhā.ī detā hai
guloñ pe kaam kisī dast-e-be-hunar ke nahīñ
hum apni dhun mein magan log is nagar ke nahin
yahan ke hain bhi to ab raste mafar ke nahin
tumhein hum amn ke mausam mein milne aaenge
hamare des mein din in dinon safar ke nahin
janam janam se hai parwarda-e-gham-e-hijran
ye dagh dil pe kisi 'umr-e-muKHtasar ke nahin
siyah shab hai bahut ehtiyat ham-safaro
shajar sarakte hue meri rah-guzar ke nahin
KHud aap apni shifa hai maraz marizon ka
kamal is mein fusun-kar chaaragar ke nahin
bure bahut hain chalan un ke chaal bhi hogi
ghalat irade mere ek bhi ham-safar ke nahin
batane aaya hun dastak ke ba'd kya hua tha
main ja raha hun tera intizar kar ke nahin
kabhi wo bagh mein KHud bhi dikhai deta hai
gulon pe kaam kisi dast-e-be-hunar ke nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.