Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum bagh-e-tamanna mein din apne guzar aae

Iram Lakhnavi

hum bagh-e-tamanna mein din apne guzar aae

Iram Lakhnavi

MORE BYIram Lakhnavi

    ham bāġh-e-tamannā meñ din apne guzār aa.e

    aa.e na bahār āḳhir shāyad na bahār aa.e

    rañg un ke talavvun chhāyā rahā mahfil par

    kuchh sīna-figār uTThe kuchh sīna-figār aa.e

    fitrat mohabbat duniyā se nirālī hai

    ho dard sivā jitnā utnā qarār aa.e

    kyā husn-e-tabī.at hai kyā ishq zīnat hai

    dil miT ke qarār aa.e rañg uḌ ke nikhār aa.e

    dar se tire Takrāyā ik na.ara-e-mastāna

    be-nām liye terā ham tujh ko pukār aa.e

    tasvīr banī dekhī ik jān-e-tamannā

    aañsū mirī āñkhoñ meñ kyā silsila-vār aa.e

    kuchh un se na kahnā thī fat.h mohabbat

    jiitī huī baazī ko ham jaan ke haar aa.e

    is darja vo pyāre haiñ kahte nahīñ bantā

    kyā aur kahā jaa.e jab aur bhī pyaar aa.e

    is bazm meñ ham āḳhir pahuñche bhī to kyā paayā

    dil dabī choTeñ kuchh aur ubhār aa.e

    hum bagh-e-tamanna mein din apne guzar aae

    aae na bahaar aaKHir shayad na bahaar aae

    rang un ke talawwun ka chhaya raha mahfil par

    kuchh sina-figar uTThe kuchh sina-figar aae

    fitrat hi mohabbat ki duniya se nirali hai

    ho dard siwa jitna utna hi qarar aae

    kya husn-e-tabiat hai kya ishq ki zinat hai

    dil miT ke qarar aae rang uD ke nikhaar aae

    dar se tere Takraya ek nara-e-mastana

    be-nam liye tera hum tujh ko pukar aae

    taswir bani dekhi ek jaan-e-tamanna ki

    aansu meri aankhon mein kya silsila-war aae

    kuchh un se na kahna hi thi fath mohabbat ki

    jiti hui bazi ko hum jaan ke haar aae

    is darja wo pyare hain kahte hi nahin banta

    kya aur kaha jae jab aur bhi pyar aae

    is bazm mein hum aaKHir pahunche bhi to kya paya

    dil hi ki dabi choTen kuchh aur ubhaar aae

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Iram Lakhnavi

    Iram Lakhnavi

    Unknown

    Unknown

    Iqbal Bano

    Iqbal Bano

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now