hum ek roz usko bhulane nikal gae
ham ek roz us ko bhulāne nikal ga.e
jab aa.e lauT kar to zamāne nikal ga.e
ik shaḳhs jā rahā thā hamārā zamīn se
ham āsmān sar pe uThāne nikal ga.e
tū to ḳhamosh ho gayā phir ham galī galī
terī taraf kā shor machāne nikal ga.e
jab jab hamāre haath meñ aa.e hamāre paañv
un kī galī meñ ḳhaak uḌāne nikal ga.e
us kam-suḳhan ne aaj bahut khul ke baat kī
muflis kī jhopḌī se ḳhazāne nikal ga.e
bilkul na.ī zabān thī us ke kalām meñ
lekin hamāre kaan purāne nikal ga.e
jab jab bhī yaad aa.iiñ tumhārī hatheliyāñ
ham dostoñ se haath milāne nikal ga.e
hum ek roz us ko bhulane nikal gae
jab aae lauT kar to zamane nikal gae
ek shaKHs ja raha tha hamara zamin se
hum aasman sar pe uThane nikal gae
tu to KHamosh ho gaya phir hum gali gali
teri taraf ka shor machane nikal gae
jab jab hamare hath mein aae hamare panw
un ki gali mein KHak uDane nikal gae
us kam-suKHan ne aaj bahut khul ke baat ki
muflis ki jhopDi se KHazane nikal gae
bilkul nai zaban thi us ke kalam mein
lekin hamare kan purane nikal gae
jab jab bhi yaad aain tumhaari hatheliyan
hum doston se hath milane nikal gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.