Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum faiz raushni se uThaenge kitni der

Qamar Sanbhali

hum faiz raushni se uThaenge kitni der

Qamar Sanbhali

MORE BYQamar Sanbhali

    ham faiz raushnī se uThā.eñge kitnī der

    jugnū hamāre sehn meñ Thahreñge kitnī der

    kab tak numū-pazīr rahegā ye dasht-e-dil

    bādal ḳhushī ke barseñ to barseñge kitnī der

    toḌo ta'alluqāt baisākhiyāñ tamām

    jhūTe sahāre saath nibāheñge kitnī der

    saaya saroñ ko deñge kahāñ tak buzurg log

    be-barg ḳhushk peḌ havā deñge kitnī der

    kab tak raheñge qaid-e-anā ke hisār meñ

    kāġhaz naav aap chalā.eñge kitnī der

    sho'la bhaḌak ke ḳhatm huā raakh ho gayā

    ham raakh meñ sharar koī DhūñDeñge kitnī der

    tār-e-nafas ke saath the rishtoñ ke silsile

    mere 'azīz qabr pe Thahreñge kitnī der

    do chaar lahreñ mere safīne ko haiñ bahut

    sāhil se aap Dūbte dekheñge kitnī der

    kitnā koī kisī ke bichhaḌne ġham kare

    ham bhī kisī ke vāste ro.eñge kitnī der

    mūñde raheñge kab talak āñkhoñ ko ham 'qamar'

    ḳhvāboñ ko TūTne se bachā.eñge kitnī der

    hum faiz raushni se uThaenge kitni der

    jugnu hamare sehn mein Thahrenge kitni der

    kab tak numu-pazir rahega ye dasht-e-dil

    baadal KHushi ke barsen to barsenge kitni der

    toDo ta'alluqat ki baisakhiyan tamam

    jhuTe sahaare sath nibahenge kitni der

    saya saron ko denge kahan tak buzurg log

    be-barg KHushk peD hawa denge kitni der

    kab tak rahenge qaid-e-ana ke hisar mein

    kaghaz ki naw aap chalaenge kitni der

    sho'la bhaDak ke KHatm hua rakh ho gaya

    hum rakh mein sharar koi DhunDenge kitni der

    tar-e-nafas ke sath the rishton ke silsile

    mere 'aziz qabr pe Thahrenge kitni der

    do chaar lahren mere safine ko hain bahut

    sahil se aap Dubte dekhenge kitni der

    kitna koi kisi ke bichhaDne ka gham kare

    hum bhi kisi ke waste roenge kitni der

    munde rahenge kab talak aankhon ko hum 'qamar'

    KHwabon ko TuTne se bachaenge kitni der

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now