hum jidhar jalta diya le jaenge
ham jidhar jaltā diyā le jā.eñge
log udhar pāgal havā le jā.eñge
tum giroge to kuchal Dāleñge log
laash hogī to uThā le jā.eñge
chhīn kar ham se safar kā hausla
paañv se kāñTe nikāle jā.eñge
muñh añdheroñ ko dikhāne ke liye
kitne hī sūraj uchhāle jā.eñge
jaltā ghar ḳhāmosh rah saktā nahīñ
duur tak us ke ujāle jā.eñge
raat us ne ḳhvāb meñ aa kar kahā
ā.eñge aa kar bulā le jā.eñge
jis jagah pagḌī uchhālī hai 'ḳhalīl'
kal vahāñ par sar uchhāle jā.eñge
hum jidhar jalta diya le jaenge
log udhar pagal hawa le jaenge
tum giroge to kuchal Dalenge log
lash hogi to uTha le jaenge
chhin kar hum se safar ka hausla
panw se kanTe nikale jaenge
munh andheron ko dikhane ke liye
kitne hi suraj uchhaale jaenge
jalta ghar KHamosh rah sakta nahin
dur tak us ke ujale jaenge
raat us ne KHwab mein aa kar kaha
aaenge aa kar bula le jaenge
jis jagah pagDi uchhaali hai 'KHalil'
kal wahan par sar uchhaale jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.