aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum ji rahe hain koi bahana kiye baghair

Jaun Eliya

hum ji rahe hain koi bahana kiye baghair

Jaun Eliya

MORE BYJaun Eliya

    ham rahe haiñ koī bahāna kiye baġhair

    us ke baġhair us tamannā kiye baġhair

    ambār us parda-e-hurmat banā miyāñ

    dīvār tak nahīñ girī pardā kiye baġhair

    yārāñ vo jo hai merā masīhā-e-jān-o-dil

    be-had aziiz hai mujhe achchhā kiye baġhair

    maiñ bistar-e-ḳhayāl pe leTā huuñ us ke paas

    sub.h-e-azal se koī taqāzā kiye baġhair

    us hai jo bhī kuchh hai mirā aur maiñ magar

    vo mujh ko chāhiye koī saudā kiye baġhair

    ye zindagī jo hai use ma.anā bhī chāhiye

    va.ada hameñ qubūl hai iifā kiye baġhair

    ai qātiloñ ke shahr bas itnī arz hai

    maiñ huuñ na qatl koī tamāshā kiye baġhair

    murshid ke jhuuT to sazā be-hisāb hai

    tum chhoḌiyo na shahr ko sahrā kiye baġhair

    un āñganoñ meñ kitnā sukūn o surūr thā

    ārā.ish-e-nazar tirī parvā kiye baġhair

    yārāñ ḳhushā ye roz o shab-e-dil ki ab hameñ

    sab kuchh hai ḳhush-gavār gavārā kiye baġhair

    girya-kunāñ fard meñ apnā nahīñ hai naam

    ham girya-kun azal ke haiñ girya kiye baġhair

    āḳhir haiñ kaun log jo baḳhshe jā.eñge

    tārīḳh ke harām se tauba kiye baġhair

    vo sunnī bachcha kaun thā jis jafā ne 'jaun'

    shii.ā banā diyā hameñ shii.ā kiye baġhair

    ab tum kabhī na aaoge ya.anī kabhī kabhī

    ruḳhsat karo mujhe koī va.ada kiye baġhair

    hum ji rahe hain koi bahana kiye baghair

    us ke baghair us ki tamanna kiye baghair

    ambar us ka parda-e-hurmat bana miyan

    diwar tak nahin giri parda kiye baghair

    yaran wo jo hai mera masiha-e-jaan-o-dil

    be-had aziz hai mujhe achchha kiye baghair

    main bistar-e-KHayal pe leTa hun us ke pas

    subh-e-azal se koi taqaza kiye baghair

    us ka hai jo bhi kuchh hai mera aur main magar

    wo mujh ko chahiye koi sauda kiye baghair

    ye zindagi jo hai use mana bhi chahiye

    wada hamein qubul hai ifa kiye baghair

    ai qatilon ke shahr bas itni hi arz hai

    main hun na qatl koi tamasha kiye baghair

    murshid ke jhuT ki to saza be-hisab hai

    tum chhoDiyo na shahr ko sahra kiye baghair

    un aanganon mein kitna sukun o surur tha

    aaraish-e-nazar teri parwa kiye baghair

    yaran KHusha ye roz o shab-e-dil ki ab hamein

    sab kuchh hai KHush-gawar gawara kiye baghair

    girya-kunan ki fard mein apna nahin hai nam

    hum girya-kun azal ke hain girya kiye baghair

    aaKHir hain kaun log jo baKHshe hi jaenge

    tariKH ke haram se tauba kiye baghair

    wo sunni bachcha kaun tha jis ki jafa ne 'jaun'

    shia bana diya hamein shia kiye baghair

    ab tum kabhi na aaoge yani kabhi kabhi

    ruKHsat karo mujhe koi wada kiye baghair

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now