hum ki maqruz-e-jism-o-jaan bhi hain
ham ki maqrūz-e-jism-o-jāñ bhī haiñ
aur tire zer-e-āsmāñ bhī haiñ
sair karte haiñ āsmānoñ kī
aur ham log be-makāñ bhī haiñ
chāhte haiñ ki munfarid ho jaa.eñ
aur pāband-e-kārvāñ bhī haiñ
qurbatoñ ke badan se lipTe hue
kuchh taqāzā-e-darmiyāñ bhī haiñ
lams jismoñ ke titliyoñ kī tarah
mausam-e-gul ke rāz-dāñ bhī haiñ
būḌhe maalī kī surḳh āñkhoñ meñ
phūl-dānoñ kī dāstāñ bhī haiñ
mez par phūl-dān rakkhā hai
aur kamre meñ titliyāñ bhī haiñ
hum ki maqruz-e-jism-o-jaan bhi hain
aur tere zer-e-asman bhi hain
sair karte hain aasmanon ki
aur hum log be-makan bhi hain
chahte hain ki munfarid ho jaen
aur paband-e-karwan bhi hain
qurbaton ke badan se lipTe hue
kuchh taqaza-e-darmiyan bhi hain
lams jismon ke titliyon ki tarah
mausam-e-gul ke raaz-dan bhi hain
buDhe mali ki surKH aankhon mein
phul-danon ki dastan bhi hain
mez par phul-dan rakkha hai
aur kamre mein titliyan bhi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.