Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum ko kiya hai waqt ne majbur kya karen

Qaisar Azeez

hum ko kiya hai waqt ne majbur kya karen

Qaisar Azeez

MORE BYQaisar Azeez

    ham ko kiyā hai vaqt ne majbūr kyā kareñ

    is vāste haiñ aap se ham duur kyā kareñ

    ḳhud ko is anjuman meñ vo mash.hūr kyā kareñ

    duniyā hai kam-nasīboñ be-nūr kyā kareñ

    ḳhūn-e-shu.ūr ḳhūn-e-vafā ḳhūn-e-ārzū

    jalne lage haiñ sūrat-e-nāsūr kyā kareñ

    daulat sikka chaltā hai saare shahr meñ

    nādār kyā kareñ yahāñ majbūr kyā kareñ

    pahle be-hijāb nazar aa rahe haiñ vo

    un ko dil-o-nigāh meñ mastūr kyā kareñ

    ḳhāmosh is ḳhayāl se baiThe haiñ bazm meñ

    rūdād-e-ġham se aap ko ranjūr kyā kareñ

    puurī ho kis tarah dil-e-muztar aarzū

    badlā hai husn-o-ishq dastūr kyā kareñ

    rāhat baat kis tarah aa.e zabān par

    baḌhne lage haiñ qalb ke nāsūr kyā kareñ

    bār-e-ġham-e-hayāt uThā to liyā magar

    'qaisar' haiñ apne vaqt se majbūr kyā kareñ

    hum ko kiya hai waqt ne majbur kya karen

    is waste hain aap se hum dur kya karen

    KHud ko is anjuman mein wo mashhur kya karen

    duniya hai kam-nasibon ki be-nur kya karen

    KHun-e-shuur KHun-e-wafa KHun-e-arzu

    jalne lage hain surat-e-nasur kya karen

    daulat ka sikka chalta hai sare hi shahr mein

    nadar kya karen yahan majbur kya karen

    pahle hi be-hijab nazar aa rahe hain wo

    un ko dil-o-nigah mein mastur kya karen

    KHamosh is KHayal se baiThe hain bazm mein

    rudad-e-gham se aap ko ranjur kya karen

    puri ho kis tarah dil-e-muztar ki aarzu

    badla hai husn-o-ishq ka dastur kya karen

    rahat ki baat kis tarah aae zaban par

    baDhne lage hain qalb ke nasur kya karen

    bar-e-gham-e-hayat uTha to liya magar

    'qaisar' hain apne waqt se majbur kya karen

    Source:

    Taameel-e-Aarzu (Pg. 93)

    • Author: Qaisar Azeez
      • Publisher: Irtiqa Publishing House, Delhi
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now