Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum nae hain na hai ye kahani nai

Quaiser Khalid

hum nae hain na hai ye kahani nai

Quaiser Khalid

MORE BYQuaiser Khalid

    ham na.e haiñ na hai ye kahānī na.ī

    saath shartoñ ke hai zindagānī na.ī

    kyā gañvā kar milī bahs ye hai fuzūl

    āḳhirash mil ga.ī kāmrānī na.ī

    bad-mizājī pe mausam hairān huuñ

    kyuuñ hai dariyāoñ meñ ye ravānī na.ī

    chashm-poshī masā.il hai is tarah

    us ne bātoñ se gul-fishānī na.ī

    gāmzan dil safar par to sākit qadam

    chheḌ phir unhoñ ne kahānī na.ī

    us ḳhushbū meñ shāmil hai terī mahak

    aaj laa.ī ḳhabar rāt-rānī na.ī

    kis chāhat tāsīr hai, vaqt ne

    us ke paikar meñ rakh javānī na.ī

    thī lachak jab talak ziist apnī rahī

    raas aa.ī na ye saḳht-jānī na.ī

    ḳhāmushī se un chaman jal gayā

    hukmarānoñ hai pāsbānī na.ī

    phūTne ko thī ummīd ik kiran

    ho ga.ī phir un mehrbānī na.ī

    baḌhte qadmoñ ko phir se ThiThaknā paḌā

    aa.ī phir darmiyāñ bad-gumānī na.ī

    vādi-e-gul se mausam sautelā-pan

    us ke dariyā meñ kyuuñ hai ravānī na.ī

    quvvateñ saarī goyā.ī par haiñ muhīt

    haiñ zabāneñ vahī lan-tarānī na.ī

    saath laa.ī na.e ġham na.ī uljhaneñ

    ab nahīñ chāhiye shādmānī na.ī

    tāliyāñ har taraf thiiñ ki jab us ne

    be-zabānī se lan-tarānī na.ī

    jis ko agle bhī pal bharosa nahīñ

    us ko bhī chāhiye shādmānī na.ī

    aisā lagtā hai 'ḳhālid'-miyāñ chāhiye

    is zamīñ ke liye jāñ-fishānī na.ī

    hum nae hain na hai ye kahani nai

    sath sharton ke hai zindagani nai

    kya ganwa kar mili bahs ye hai fuzul

    aaKHirash mil gai kaamrani nai

    bad-mizaji pe mausam ki hairan hun

    kyun hai dariyaon mein ye rawani nai

    chashm-poshi masail ki hai is tarah

    us ne baaton se ki gul-fishani nai

    gamzan dil safar par to sakit qadam

    chheD di phir unhon ne kahani nai

    us ki KHushbu mein shamil hai teri mahak

    aaj lai KHabar raat-rani nai

    kis ki chahat ki tasir hai, waqt ne

    us ke paikar mein rakh di jawani nai

    thi lachak jab talak zist apni rahi

    ras aai na ye saKHt-jaani nai

    KHamushi se hi un ki chaman jal gaya

    hukmaranon ki hai pasbani nai

    phuTne ko thi ummid ki ek kiran

    ho gai phir un ki mehrbani nai

    baDhte qadmon ko phir se ThiThakna paDa

    aai phir darmiyan bad-gumani nai

    wadi-e-gul se mausam ka sautela-pan

    us ke dariya mein kyun hai rawani nai

    quwwaten sari goyai par hain muhit

    hain zabanen wahi lan-tarani nai

    sath lai nae gham nai uljhanen

    ab nahin chahiye shadmani nai

    taliyan har taraf thin ki jab us ne ki

    be-zabani se hi lan-tarani nai

    jis ko agle bhi pal ka bharosa nahin

    us ko bhi chahiye shadmani nai

    aisa lagta hai 'KHalid'-miyan chahiye

    is zamin ke liye jaan-fishani nai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now