humne apne gham ko dohraya nahin
ham ne apne ġham ko dohrāyā nahīñ
vo purānā giit phir gaayā nahīñ
jis ko paane kī du'ā karte rahe
vo milā bhī to use paayā nahīñ
ye to hai us se bichhaḌ kar phir kabhī
dil kisī patthar se Takrāyā nahīñ
ek lamha aa.e the ham hosh meñ
phir kabhī vaisā nasha chhāyā nahīñ
chārāgar kī kyā kaheñ ham ne kabhī
ḳhud ko apnā zaḳhm dikhlāyā nahīñ
aaj kitnī muddatoñ ke baa'd phir
dil akele meñ bhī ghabrāyā nahīñ
jism kī sarhad se bāhar aa ga.ī
ab mohabbat par koī saaya nahīñ
hum ne apne gham ko dohraya nahin
wo purana git phir gaya nahin
jis ko pane ki du'a karte rahe
wo mila bhi to use paya nahin
ye to hai us se bichhaD kar phir kabhi
dil kisi patthar se Takraya nahin
ek lamha aae the hum hosh mein
phir kabhi waisa nasha chhaya nahin
chaaragar ki kya kahen hum ne kabhi
KHud ko apna zaKHm dikhlaya nahin
aaj kitni muddaton ke ba'd phir
dil akele mein bhi ghabraya nahin
jism ki sarhad se bahar aa gai
ab mohabbat par koi saya nahin
- Book : Raushni Jaari Karo (Pg. 56)
- Author : Manish Shukla
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.