humne jab aap ki aankhon se milain aankhen
ham ne jab aap kī āñkhoñ se milā.īñ āñkheñ
pher ke aap ne muñh ham se churā.īñ āñkheñ
dil ko bechain kiyā shoḳh nigāhoñ ne sanam
aap ne sharm-o-adā se jo jhukā.īñ āñkheñ
zikr āñkhoñ kā musavvir ne jo pūchhā ham se
nargisī surmagīñ sāġhar sī batā.īñ āñkheñ
apne pairāhan-e-rangīñ kī tab-o-tāb dikhā.ī
ek rangīn sharārat se lubhā.īñ āñkheñ
ham ne samjhā thā ki rasta na rahā koī magar
zindagī ko na.e ik moḌ pe lā.īñ āñkheñ
laakh qudrat ke karishmāt dikhe ham ko magar
aap ko dekh ke jaanā hai ki pā.īñ āñkheñ
nau-javānī ke hasīñ ḳhvāb sajāne ke liye
'ishq ko husn ke nazdīk le aa.iiñ āñkheñ
hum ne jab aap ki aankhon se milain aankhen
pher ke aap ne munh hum se churain aankhen
dil ko bechain kiya shoKH nigahon ne sanam
aap ne sharm-o-ada se jo jhukain aankhen
zikr aankhon ka musawwir ne jo puchha hum se
nargisi surmagin saghar si batain aankhen
apne pairahan-e-rangin ki tab-o-tab dikhai
ek rangin shararat se lubhain aankhen
hum ne samjha tha ki rasta na raha koi magar
zindagi ko nae ek moD pe lain aankhen
lakh qudrat ke karishmat dikhe hum ko magar
aap ko dekh ke jaana hai ki pain aankhen
nau-jawani ke hasin KHwab sajaane ke liye
'ishq ko husn ke nazdik le aain aankhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.