humne kuchh yun bhi alag chun liya jada apna
ham ne kuchh yuuñ bhī alag chun liyā jaada apnā
ab ke hai aur hī manzil kā irāda apnā
sab ke letā hai qadam ye dil-e-sāda apnā
ham ne rakkhā nahīñ dar yūñhī kushāda apnā
hijr jab jaan kā āzār ho paimāne meñ
terā ġham ghol ke pī lete haiñ baada apnā
mausam-e-gul meñ tumheñ lauT ke aanā thā kaho
yaad aatā nahīñ bhūlā huā vā'da apnā
sūkhī lakḌī pe chalā ho koī aarā jaise
kar liyā hijr meñ tan aise burāda apnā
hai milā aisā sukūñ oḌh pahan kar is ko
dā.imī ranj tirā ab hai labāda apnā
aisā lagtā hai zamāne kī havā un ko lagī
hai mirā dhyān unheñ par hai ziyāda apnā
jām-e-labrez ko mere haiñ vo aadhā kahte
aur bharā jaam dikhe hai unheñ aadhā apnā
degā shah-māt ye ik din ise 'nasrīñ' ham ne
saiñt rakkhā hai jo kuchh soch ke pyāda apnā
hum ne kuchh yun bhi alag chun liya jada apna
ab ke hai aur hi manzil ka irada apna
sab ke leta hai qadam ye dil-e-sada apna
hum ne rakkha nahin dar yunhi kushada apna
hijr jab jaan ka aazar ho paimane mein
tera gham ghol ke pi lete hain baada apna
mausam-e-gul mein tumhein lauT ke aana tha kaho
yaad aata nahin bhula hua wa'da apna
sukhi lakDi pe chala ho koi aara jaise
kar liya hijr mein tan aise burada apna
hai mila aisa sukun oDh pahan kar is ko
daimi ranj tera ab hai labaada apna
aisa lagta hai zamane ki hawa un ko lagi
hai mera dhyan unhen par hai ziyaada apna
jam-e-labrez ko mere hain wo aadha kahte
aur bhara jam dikhe hai unhen aadha apna
dega shah-mat ye ek din ise 'nasrin' hum ne
saint rakkha hai jo kuchh soch ke pyaada apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.