humne tinke se to sahil pe utar jaana hai
ham ne tinke se to sāhil pe utar jaanā hai
is se aage nahīñ mā'lūm kidhar jaanā hai
jo gayā mahfil-e-yārāñ se gayā ye kah kar
dil to kartā nahīñ jaane ko magar jaanā hai
ham ne us kā hī kahā yaad dilānā hai use
us ne kuchh baat banānī hai mukar jaanā hai
kyā batā.ūñ ki masāfat hai kahāñ kī merī
jis taraf samt nahīñ koī udhar jaanā hai
aañkh ne pheñkne rahte haiñ nazar ke kankar
aa.ina TūTnā hai 'aks bikhar jaanā hai
vaqt Thahrā huā mahsūs huā tere saath
aur ye Thahrā huā vaqt guzar jaanā hai
ye ki lagtā hī gayā bazm kī rā'nā.ī meñ
aur maiñ dil se ye kahtā rahā ghar jaanā hai
saañs ek aur kisī dam ke liye aur ik saañs
is tag-o-dau meñ sabhī ne kabhī mar jaanā hai
uTh ke baiThak se khaḌe ho ga.e darvāze par
tum ne jaanā hai chale jaao agar jaanā hai
ye nayā husn purāne se ziyāda hai magar
is na.e husn se bhī dil mirā bhar jaanā hai
ham to ġhāfil haiñ sarāsar hameñ mā'lūm nahīñ
kis taraf tum ko kaho ahl-e-ḳhabar jaanā hai
'ishq thak kar nahīñ ruktā kabhī 'āsim' is ne
vus'at-e-dasht meñ tā-hadd-e-nazar jaanā hai
hum ne tinke se to sahil pe utar jaana hai
is se aage nahin ma'lum kidhar jaana hai
jo gaya mahfil-e-yaran se gaya ye kah kar
dil to karta nahin jaane ko magar jaana hai
hum ne us ka hi kaha yaad dilana hai use
us ne kuchh baat banani hai mukar jaana hai
kya bataun ki masafat hai kahan ki meri
jis taraf samt nahin koi udhar jaana hai
aankh ne phenkne rahte hain nazar ke kankar
aaina TuTna hai 'aks bikhar jaana hai
waqt Thahra hua mahsus hua tere sath
aur ye Thahra hua waqt guzar jaana hai
ye ki lagta hi gaya bazm ki ra'nai mein
aur main dil se ye kahta raha ghar jaana hai
sans ek aur kisi dam ke liye aur ek sans
is tag-o-dau mein sabhi ne kabhi mar jaana hai
uTh ke baiThak se khaDe ho gae darwaze par
tum ne jaana hai chale jao agar jaana hai
ye naya husn purane se ziyaada hai magar
is nae husn se bhi dil mera bhar jaana hai
hum to ghafil hain sarasar hamein ma'lum nahin
kis taraf tum ko kaho ahl-e-KHabar jaana hai
'ishq thak kar nahin rukta kabhi 'asim' is ne
wus'at-e-dasht mein ta-hadd-e-nazar jaana hai
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 100)
- Author : Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.