Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ham-safar tha hi nahin raKHt-e-safar tha hi nahin

Tara Iqbal

ham-safar tha hi nahin raKHt-e-safar tha hi nahin

Tara Iqbal

MORE BYTara Iqbal

    ham-safar thā nahīñ raḳht-e-safar thā nahīñ

    kuchh gañvāne mujhe ḳhauf-o-ḳhatar thā nahīñ

    mujh ko har shaam jahāñ le ke tavaqqo.a aa.ī

    dar-o-dīvār to maujūd the ghar thā nahīñ

    ungliyāñ zaḳhmī huiiñ tab mujhe ehsās huā

    dastakeñ thiiñ jahāñ par vahāñ dar thā nahīñ

    mujh se pūchhā kiye mere bikharne sabab

    ahl-e-dānish meñ koī ahl-e-nazar thā nahīñ

    dhuul uḌaa.ī jahāñ ḳhvāboñ meñ musalsal maiñ ne

    kisī naqshe meñ kahīñ par vo nagar thā nahīñ

    kis pe ilzām rakheñ kis pe lagā.eñ tohmat

    merī miTTī meñ simaTne hunar thā nahīñ

    yaad ik shaḳhs thā ik naam azbar 'tārā'

    sivā us ke koī tā-hadd-e-nazar thā nahīñ

    ham-safar tha hi nahin raKHt-e-safar tha hi nahin

    kuchh ganwane ka mujhe KHauf-o-KHatar tha hi nahin

    mujh ko har sham jahan le ke tawaqqoa aai

    dar-o-diwar to maujud the ghar tha hi nahin

    ungliyan zaKHmi huin tab mujhe ehsas hua

    dastaken di thin jahan par wahan dar tha hi nahin

    mujh se hi puchha kiye mere bikharne ka sabab

    ahl-e-danish mein koi ahl-e-nazar tha hi nahin

    dhul uDai jahan KHwabon mein musalsal main ne

    kisi naqshe mein kahin par wo nagar tha hi nahin

    kis pe ilzam rakhen kis pe lagaen tohmat

    meri miTTi mein simaTne ka hunar tha hi nahin

    yaad ek shaKHs tha ek nam hi azbar 'tara'

    siwa us ke koi ta-hadd-e-nazar tha hi nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now