humse rishta jo tishnagi ka hai
ham se rishta jo tishnagī kā hai
saarā ehsān ik nadī kā hai
rang jo ruuh tak mirī utrā
rang vo aap kī hañsī kā hai
mujh ko bhī paanā chāhtā hai vo
haath meñ haath bhī kisī kā hai
vo zamīñ kis liye rahī phir ḳhushk
jis pe ik rāsta nadī kā hai
ham ko hāsil nahīñ huā phir bhī
ham pe haq aaj bhī usī kā hai
hum se rishta jo tishnagi ka hai
sara ehsan ek nadi ka hai
rang jo ruh tak meri utra
rang wo aap ki hansi ka hai
mujh ko bhi pana chahta hai wo
hath mein hath bhi kisi ka hai
wo zamin kis liye rahi phir KHushk
jis pe ek rasta nadi ka hai
hum ko hasil nahin hua phir bhi
hum pe haq aaj bhi usi ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.