hum teri bazm mein kab lutf uThane aae
ham tirī bazm meñ kab lutf uThāne aa.e
diip ehsās ke palkoñ pe jalāne aa.e
bārhā raat meñ ḳhushbū ke ḳhazāne aa.e
sub.h tak bhī na hameñ naaz uThāne aa.e
chāhte aap nahīñ mujh ko ye mujh ko taslīm
ye dabe paañv jo phir aap sirhāne aa.e
raat ke pichhle pahar chhat pe vo mujh se milne
kabhī garmī kabhī paanī ke bahāne aa.e
jab kabhī gher liyā fikr-e-jahāñ-dārī ne
us ke ḳhat 'ahd-e-vafā yaad dilāne aa.e
raas aayā nahīñ vo shoḳh sahārā mujh ko
apne hisse meñ to bas ḳhvāb suhāne aa.e
maiñ na.ī nasl ko kartā huuñ 'kamāl' aaj salām
kaam jab aa.e to ahbāb purāne aa.e
hum teri bazm mein kab lutf uThane aae
dip ehsas ke palkon pe jalane aae
barha raat mein KHushbu ke KHazane aae
subh tak bhi na hamein naz uThane aae
chahte aap nahin mujh ko ye mujh ko taslim
ye dabe panw jo phir aap sirhane aae
raat ke pichhle pahar chhat pe wo mujh se milne
kabhi garmi kabhi pani ke bahane aae
jab kabhi gher liya fikr-e-jahan-dari ne
us ke KHat 'ahd-e-wafa yaad dilane aae
ras aaya nahin wo shoKH sahaara mujh ko
apne hisse mein to bas KHwab suhane aae
main nai nasl ko karta hun 'kamal' aaj salam
kaam jab aae to ahbab purane aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.