hamara haal to wo KHair kya hi samjhega
hamārā haal to vo ḳhair kyā hī samjhegā
hai bevafā to hameñ bevafā hī samjhegā
hamārī sāda-bayānī samajh nahīñ paatā
zahīn hai vo bahut falsafa hī samjhegā
hamārī baat na samjhoge 'aql vaalo tum
hamārī baat koī sar-phirā hī samjhegā
jalā huuñ terī tarah maiñ bhī raushnī ke liye
diye kā dard to āḳhir diyā hī samjhegā
laboñ pe tairtī muskān ke pas-e-parda
chhupe haiñ ġham ye koī masḳhara hī samjhegā
tirī shikāyateñ saarī ḳhudā se karnī haiñ
to ab ye jaan le tujh ko ḳhudā hī samjhegā
hamara haal to wo KHair kya hi samjhega
hai bewafa to hamein bewafa hi samjhega
hamari sada-bayani samajh nahin pata
zahin hai wo bahut falsafa hi samjhega
hamari baat na samjhoge 'aql walo tum
hamari baat koi sar-phira hi samjhega
jala hun teri tarah main bhi raushni ke liye
diye ka dard to aaKHir diya hi samjhega
labon pe tairti muskan ke pas-e-parda
chhupe hain gham ye koi masKHara hi samjhega
teri shikayaten sari KHuda se karni hain
to ab ye jaan le tujh ko KHuda hi samjhega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.