hamara KHwab kuchh kuchh aur hai tabir aankhon mein
hamārā ḳhvāb kuchh kuchh aur hai tā'bīr āñkhoñ meñ
liye phirte haiñ shāyad ham ġhalat tasvīr āñkhoñ meñ
bahut haiñ tang ham āvārgī-e-dīd se apnī
koī sūrat nahīñ jo Daal de zanjīr āñkhoñ meñ
'ajab majlis azā kī hai ki majma' kam nahīñ hotā
musalsal āñsuoñ kī hai vahī taqrīr āñkhoñ meñ
mohabbat dekhnī ho to un āñkhoñ par nazar rakkho
achānak hī ubhar aatī hai ye tahrīr āñkhoñ meñ
bhulā baiThā huuñ saare ḳhvāb jo kal raat dekhe the
ki merī sub.h ne kar dī bahut tāḳhīr āñkhoñ meñ
usī se mere din ke ḳhvāb ko tā'bīr miltī hai
maiñ saarī raat kartā huuñ jo kuchh tā'mīr āñkhoñ meñ
kuchh itnī zor se bhīñchā hai āġhosh-e-ḳhamoshī ne
ki khiñch kar aa ga.ī lafzoñ kī sab tāsīr āñkhoñ meñ
hamara KHwab kuchh kuchh aur hai ta'bir aankhon mein
liye phirte hain shayad hum ghalat taswir aankhon mein
bahut hain tang hum aawargi-e-did se apni
koi surat nahin jo Dal de zanjir aankhon mein
'ajab majlis aza ki hai ki majma' kam nahin hota
musalsal aansuon ki hai wahi taqrir aankhon mein
mohabbat dekhni ho to un aankhon par nazar rakkho
achanak hi ubhar aati hai ye tahrir aankhon mein
bhula baiTha hun sare KHwab jo kal raat dekhe the
ki meri subh ne kar di bahut taKHir aankhon mein
usi se mere din ke KHwab ko ta'bir milti hai
main sari raat karta hun jo kuchh ta'mir aankhon mein
kuchh itni zor se bhincha hai aaghosh-e-KHamoshi ne
ki khinch kar aa gai lafzon ki sab tasir aankhon mein
- Book : Mohabbat Kar Ke Dekho Na (Pg. 92)
- Author : Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.