Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hamara pyar dikhawe ka pyar thoDi hai

Zameeruddin Sajid

hamara pyar dikhawe ka pyar thoDi hai

Zameeruddin Sajid

MORE BYZameeruddin Sajid

    hamārā pyaar dikhāve pyaar thoḌī hai

    ḳhulūs-e-dil hai koī ishtihār thoḌī hai

    ye bādshāhoñ lahja badal mire bhaa.ī

    ki ab yahāñ pe tirā eqtidār thoḌī hai

    ġharīb-e-shahr tavangar se kah rahā thā ki

    amīr-e-shahr hai parvardigār thoḌī hai

    mire phaTe hue dāman pe hañsne vaale sun

    ye taar taar sahī dāġh-dār thoḌī hai

    yazīdiyat meñ nadāmat hai fat.h kar bhī

    husainiyat shahādat meñ baar thoḌī hai

    hazār jaan luTā.ūñ vatan pe maiñ 'sājid'

    vafā-shi.āroñ meñ merā shumār thoḌī hai

    hamara pyar dikhawe ka pyar thoDi hai

    KHulus-e-dil hai koi ishtihaar thoDi hai

    ye baadshahon sa lahja badal mere bhai

    ki ab yahan pe tera eqtidar thoDi hai

    gharib-e-shahr tawangar se kah raha tha ki tu

    amir-e-shahr hai parwardigar thoDi hai

    mere phaTe hue daman pe hansne wale sun

    ye tar tar sahi dagh-dar thoDi hai

    yazidiyat mein nadamat hai fath pa kar bhi

    husainiyat ki shahadat mein bar thoDi hai

    hazar jaan luTaun watan pe main 'sajid'

    wafa-shiaron mein mera shumar thoDi hai

    Source:

    Ghazlistan-e-Barar (Pg. 306)

      • Publisher: Sajid Urdu Press, Akola
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now