hamare KHadshat ke daron se muhib sae nikal rahe hain
hamāre ḳhadshāt ke daroñ se muhīb saa.e nikal rahe haiñ
tumhāre vā'doñ ke chāñd lekin chamak rahe haiñ na Dhal rahe haiñ
'ajīb tārīk raushnī hai jo saare manzar ko khā rahī hai
ġhulām zehnoñ kī zid hai lekin ki dard ke din badal rahe haiñ
bisāt-e-shāhī pe in piyādoñ kī haisiyat hī nahīñ hai koī
ye jo bahut tilmilā rahe haiñ jo qad se baḌh ke uchhal rahe haiñ
vo jin ke hāthoñ hamārī dastār tak salāmat nahīñ rahī hai
sitam to ye hai inhī kī uñglī pakaḌ ke ham log chal rahe haiñ
tumhāre mere tamām aañsū jo vaqt kī dhuul par gire the
hamāre bachchoñ tak aan pahuñche haiñ in kī āñkhoñ meñ jal rahe haiñ
hamārī āñkheñ pahāḌ ke dūsrī taraf dekhtī haiñ 'anvar'
hamāre derīna ḳhvāb tā'bīr dekhne ko machal rahe haiñ
hamare KHadshat ke daron se muhib sae nikal rahe hain
tumhaare wa'don ke chand lekin chamak rahe hain na Dhal rahe hain
'ajib tarik raushni hai jo sare manzar ko kha rahi hai
ghulam zehnon ki zid hai lekin ki dard ke din badal rahe hain
bisat-e-shahi pe in piyaadon ki haisiyat hi nahin hai koi
ye jo bahut tilmila rahe hain jo qad se baDh ke uchhal rahe hain
wo jin ke hathon hamari dastar tak salamat nahin rahi hai
sitam to ye hai inhi ki ungli pakaD ke hum log chal rahe hain
tumhaare mere tamam aansu jo waqt ki dhul par gire the
hamare bachchon tak aan pahunche hain in ki aankhon mein jal rahe hain
hamari aankhen pahaD ke dusri taraf dekhti hain 'anwar'
hamare derina KHwab ta'bir dekhne ko machal rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.