hamare pyar ka hum ko sila nahin milta
hamāre pyaar kā ham ko sila nahīñ miltā
vafā kareñ to koī bā-vafā nahīñ miltā
har ik maqām pe matlab-parast milte haiñ
koī rafīq koī rahnumā nahīñ miltā
kisī ke sāmne dast-e-talab se kyā hāsil
ḳhudā se maañg ke dekho to kyā nahīñ miltā
vafā ḳhulūs kitāboñ meñ rah ga.e baaqī
jahāñ meñ dekhiye un kā pata nahīñ miltā
ye māl-o-zar se to duniyā ḳharīd sakte haiñ
sukūn-e-qalb-o-jigar mol kā nahīñ miltā
ġharīb logoñ kī bastī jalā.ī jaatī hai
bujhāne vaalā koī devtā nahīñ miltā
ġharaz ke vāste 'nāzim' hazār milte haiñ
koī habīb koī āshnā nahīñ miltā
hamare pyar ka hum ko sila nahin milta
wafa karen to koi ba-wafa nahin milta
har ek maqam pe matlab-parast milte hain
koi rafiq koi rahnuma nahin milta
kisi ke samne dast-e-talab se kya hasil
KHuda se mang ke dekho to kya nahin milta
wafa KHulus kitabon mein rah gae baqi
jahan mein dekhiye un ka pata nahin milta
ye mal-o-zar se to duniya KHarid sakte hain
sukun-e-qalb-o-jigar mol ka nahin milta
gharib logon ki basti jalai jati hai
bujhane wala koi dewta nahin milta
gharaz ke waste 'nazim' hazar milte hain
koi habib koi aashna nahin milta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.