Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hamare sanwle kun dekh kar ji mein jali jamun

Abroo Shah Mubarak

hamare sanwle kun dekh kar ji mein jali jamun

Abroo Shah Mubarak

MORE BYAbroo Shah Mubarak

    hamāre sāñvle kuuñ dekh kar meñ jalī jāmun

    lagā phīkā savād us nahīñ lagtī bhalī jāmun

    sarāpā aaj namkīnī o narmī o gudāzī suuñ

    huā ye sāñvlā goyā namak meñ galī jāmun

    lage hai tursh zāhir meñ pe hai ye sāñvlā mīThā

    māze-dārī meñ hai goyā ye misrī Dalī jāmun

    tumhāre rañg tamsīl us kuuñ duuñ to khul jaave

    ḳhushī siiñ sāñvarī ho kar ke koyal kalī jāmun

    kyā ram sāñvare neñ 'ābrū' kuuñ dekh kar paanī

    lagā barsāt mausam dekho yaaro chalī jāmun

    hamare sanwle kun dekh kar ji mein jali jamun

    laga phika sawad us ka nahin lagti bhali jamun

    sarapa aaj namkini o narmi o gudazi sun

    hua ye sanwla goya namak mein ki gali jamun

    lage hai tursh zahir mein pe hai ye sanwla miTha

    maze-dari mein hai goya ye misri ki Dali jamun

    tumhaare rang ki tamsil us kun dun to khul jawe

    KHushi sin sanwari ho kar ke koyal ki kali jamun

    kya ram sanware nen 'abru' kun dekh kar pani

    laga barsat ka mausam dekho yaro chali jamun

    Source:

    Deewan-e-Aabro (Pg. 187)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now