hamare shahr mein kuchh log humse jalte hain
hamāre shahr meñ kuchh log ham se jalte haiñ
yahī sabab hai ki ham sar uThā ke chalte haiñ
sitamgarī to koī dekhe mah-jabīnoñ kī
ki chuTkiyoñ se mire dil ko vo masalte haiñ
ye kār-gāh-e-junūñ bhī 'ajīb duniyā hai
ki is ke saa.e meñ har inqalāb palte haiñ
tumhārī sūrat-e-zebā ko dekhne ke liye
vufūr-e-shauq meñ ḳhud aa.ine machalte haiñ
sitamgarān-e-jahāñ deñ na dhamkiyāñ ham ko
ham ahl-e-'ishq haiñ sho'loñ pe roz chalte haiñ
hamare shahr mein kuchh log hum se jalte hain
yahi sabab hai ki hum sar uTha ke chalte hain
sitamgari to koi dekhe mah-jabinon ki
ki chuTkiyon se mere dil ko wo masalte hain
ye kar-gah-e-junun bhi 'ajib duniya hai
ki is ke sae mein har inqalab palte hain
tumhaari surat-e-zeba ko dekhne ke liye
wufur-e-shauq mein KHud aaine machalte hain
sitamgaran-e-jahan den na dhamkiyan hum ko
hum ahl-e-'ishq hain sho'lon pe roz chalte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.