hamein guman ki abhi wo charagh jalta hai
hameñ gumāñ ki abhī vo charāġh jaltā hai
nasīb ho to havāoñ kā ruḳh badaltā hai
hameñ gumāñ ki sulagtī huī shaboñ meñ abhī
hamārā ḳhvāb kisī aañkh meñ pighaltā hai
hameñ gumāñ ki abhī os ke kināre par
kahīñ pe niiñd meñ jhoñkā havā kā chaltā hai
hameñ gumāñ ki jazīre se aa rahī hai sadā
ik āftāb abhī jhāḌiyoñ meñ Dhaltā hai
hameñ gumāñ ki tire paañv par phisalte hue
is ābshār kā paanī abhī uchhaltā hai
hameñ gumāñ ki tirī yaad ke daraḳhtoñ se
abhī firāq-rutoñ kā dhuāñ nikaltā hai
hameñ gumāñ ki koī 'ishq ke maraz meñ abhī
chhupā chhupā ke sirhāne pe ḳhuun ugaltā hai
hameñ gumāñ ki abhī chāñdnī kā sāzinda
kisī ke paañv kī aahaT pe sar badaltā hai
hameñ gumāñ ki 'shafaq' pattharoñ kī kaa.ī par
kisī kā barf sā paañv abhī phisaltā hai
hamein guman ki abhi wo charagh jalta hai
nasib ho to hawaon ka ruKH badalta hai
hamein guman ki sulagti hui shabon mein abhi
hamara KHwab kisi aankh mein pighalta hai
hamein guman ki abhi os ke kinare par
kahin pe nind mein jhonka hawa ka chalta hai
hamein guman ki jazire se aa rahi hai sada
ek aaftab abhi jhaDiyon mein Dhalta hai
hamein guman ki tere panw par phisalte hue
is aabshaar ka pani abhi uchhalta hai
hamein guman ki teri yaad ke daraKHton se
abhi firaq-ruton ka dhuan nikalta hai
hamein guman ki koi 'ishq ke maraz mein abhi
chhupa chhupa ke sirhane pe KHun ugalta hai
hamein guman ki abhi chandni ka sazinda
kisi ke panw ki aahaT pe sar badalta hai
hamein guman ki 'shafaq' pattharon ki kai par
kisi ka barf sa panw abhi phisalta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.