hamein is bhiD se aage nikalne kaun deta hai
hameñ is bhiiḌ se aage nikalne kaun detā hai
kabhī jo gir paḌo to phir sañbhalne kaun detā hai
kabhī duniyā ke pech-o-ḳham kabhī ghar kī pareshānī
ghaḌī-bhar hī sahī ham ko bahalne kaun detā hai
hamārī ḳhāmushī par ban rahe haiñ lākhoñ afsāne
magar jo zahr hai andar ugalne kaun detā hai
añdheroñ kī siyāsat se sabhī bezār haiñ lekin
ujāle bāñTne vāloñ ko jalne kaun detā hai
jakaḌ rakkhā hai ham ko rāt-din kī āpā-dhāpī ne
hameñ is qaid se bāhar nikalne kaun detā hai
hamein is bhiD se aage nikalne kaun deta hai
kabhi jo gir paDo to phir sanbhalne kaun deta hai
kabhi duniya ke pech-o-KHam kabhi ghar ki pareshani
ghaDi-bhar hi sahi hum ko bahalne kaun deta hai
hamari KHamushi par ban rahe hain lakhon afsane
magar jo zahr hai andar ugalne kaun deta hai
andheron ki siyasat se sabhi bezar hain lekin
ujale banTne walon ko jalne kaun deta hai
jakaD rakkha hai hum ko raat-din ki aapa-dhapi ne
hamein is qaid se bahar nikalne kaun deta hai
- Book : Dhoop Mein Baithne Ke Din Aaye (Pg. 86)
- Author : Sunil Aftab
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.