hamein na buzdil samajhna dekho hum apna sab kuchh luTa chuke hain

hamein na buzdil samajhna dekho hum apna sab kuchh luTa chuke hain
Aquib Zamir
MORE BYAquib Zamir
hameñ na buzdil samajhnā dekho ham apnā sab kuchh luTā chuke haiñ
vatan kī miTTī hameñ pukāregī us se pahle ham aa chuke haiñ
falak se ūñche qadoñ ke mālik the 'mīr' 'faiz' aur 'firāq' 'jālib'
qasīde hākim ke dar pe paḌh kar ham apne qad ko ghaTā chuke haiñ
tumheñ to ghar baiThe mil gayā sab tumhāre kāñdhoñ pe bojh kyā hai
charāġh-e-‘ilm-o-hunar to yaaro jalāne vaale jalā chuke haiñ
hamārī nasloñ ke qatl par bhī zabān jin kī nahīñ khulegī
ham aise gūñge muhāfizoñ ko ḳhatīb-e-mimber banā chuke haiñ
'azāb sar se guzar gayā tum janāb-e-'āqib' ab aa rahe ho
hameñ nahīñ hai tumhārī hājat ham apnī lāsheñ uThā chuke haiñ
hamein na buzdil samajhna dekho hum apna sab kuchh luTa chuke hain
watan ki miTTi hamein pukaregi us se pahle hum aa chuke hain
falak se unche qadon ke malik the 'mir' 'faiz' aur 'firaq' 'jalib'
qaside hakim ke dar pe paDh kar hum apne qad ko ghaTa chuke hain
tumhein to ghar baiThe mil gaya sab tumhaare kandhon pe bojh kya hai
charagh-e-‘ilm-o-hunar to yaro jalane wale jala chuke hain
hamari naslon ke qatl par bhi zaban jin ki nahin khulegi
hum aise gunge muhafizon ko KHatib-e-mimber bana chuke hain
'azab sar se guzar gaya tum janab-e-'aqib' ab aa rahe ho
hamein nahin hai tumhaari hajat hum apni lashen uTha chuke hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.