hamein ye kaisi taswiren dikhai ja rahi hain
hameñ ye kaisī tasvīreñ dikhā.ī jā rahī haiñ
gharoñ ke sahn meñ qabreñ banā.ī jā rahī haiñ
parind aur peḌ kyoñ chillā rahe haiñ pānī-pānī
ghaTā.eñ āsmāñ meñ kyoñ samā.ī jā rahī haiñ
mire phūloñ ko angāroñ meñ tolā jā rahā hai
mirī galiyāñ sharāroñ meñ nahā.ī jā rahī haiñ
mire ghar ko uqūbat-gāh meñ tabdīl kar ke
mire ḳhvāboñ ko zanjīreñ lagā.ī jā rahī haiñ
charāġh ab tak nahīñ jis ghar ke tāqoñ ko mayassar
vahāñ māñge kī phuljhaḌiyāñ jalā.ī jā rahī haiñ
hamein ye kaisi taswiren dikhai ja rahi hain
gharon ke sahn mein qabren banai ja rahi hain
parind aur peD kyon chilla rahe hain pani-pani
ghaTaen aasman mein kyon samai ja rahi hain
mere phulon ko angaron mein tola ja raha hai
meri galiyan shararon mein nahai ja rahi hain
mere ghar ko uqubat-gah mein tabdil kar ke
mere KHwabon ko zanjiren lagai ja rahi hain
charagh ab tak nahin jis ghar ke taqon ko mayassar
wahan mange ki phuljhaDiyan jalai ja rahi hain
- Book : Ek Diya Aur Ek Phool (Pg. 71)
- Author :Ishrat Afreen
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.