Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hangame se wahshat hoti hai tanhai mein ji ghabrae hai

Rifat Sarosh

hangame se wahshat hoti hai tanhai mein ji ghabrae hai

Rifat Sarosh

MORE BYRifat Sarosh

    hañgāme se vahshat hotī hai tanhā.ī meñ ghabrā.e hai

    kyā jāniye kyā kuchh hotā hai jab yaad kisī aa.e hai

    jin kūchoñ meñ sukh-chain gayā jin galiyoñ meñ badnām hue

    dīvāna dil un galiyoñ meñ rah rah kar Thokar khaa.e hai

    sāvan añdherī rātoñ meñ kis shoḳh yādoñ āñchal

    bijlī tarah lahrā.e hai bādal tarah uḌ jaa.e hai

    yādoñ ke darpan TuuT ga.e nazroñ meñ koī sūrat nahīñ

    lekin be-chehra maazī saaya saaya lahrā.e hai

    kuchh duniyā bhī bezār hai ab ham jaise vahshat vāloñ se

    kuchh apnā dil bhī duniyā is mahfil meñ ghabrā.e hai

    kaliyoñ qabā.eñ chaak huiiñ phūloñ ke chehre zaḳhmī haiñ

    ab ke ye bahāroñ mausam kyā rañg nayā dikhlā.e hai

    dīvār na dar sunsān khañDar aisā ujḌā ye dil nagar

    tanhā.ī ke vīrāne meñ āvāz bhī Thokar khaa.e hai

    ye merā koī dam-sāz na ho 'rif.at' ye koī hamrāz na ho

    jo mere giit mirī ġhazleñ merī dhun meñ gaa.e hai

    hangame se wahshat hoti hai tanhai mein ji ghabrae hai

    kya jaaniye kya kuchh hota hai jab yaad kisi ki aae hai

    jin kuchon mein sukh-chain gaya jin galiyon mein badnam hue

    diwana dil un galiyon mein rah rah kar Thokar khae hai

    sawan ki andheri raaton mein kis shoKH ki yaadon ka aanchal

    bijli ki tarah lahrae hai baadal ki tarah uD jae hai

    yaadon ke darpan TuT gae nazron mein koi surat hi nahin

    lekin be-chehra mazi saya saya lahrae hai

    kuchh duniya bhi bezar hai ab hum jaise wahshat walon se

    kuchh apna dil bhi duniya ki is mahfil mein ghabrae hai

    kaliyon ki qabaen chaak huin phulon ke chehre zaKHmi hain

    ab ke ye bahaaron ka mausam kya rang naya dikhlae hai

    diwar na dar sunsan khanDar aisa ujDa ye dil ka nagar

    tanhai ke virane mein aawaz bhi Thokar khae hai

    ye mera koi dam-saz na ho 'rifat' ye koi hamraaz na ho

    jo mere git meri ghazlen meri hi dhun mein gae hai

    Source:

    Shahr-e-Ghazal (Pg. 42)

    • Author: Rifat Sarosh
      • Edition: 1998
      • Publisher: Rifat Sarosh
      • Year of Publication: 1998
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now