Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hansi labon pe hai dil mein shaguftagi to nahin

Shaayar Lakhnavi

hansi labon pe hai dil mein shaguftagi to nahin

Shaayar Lakhnavi

MORE BYShaayar Lakhnavi

    hañsī laboñ pe hai dil meñ shaguftagī to nahīñ

    ye ik latīf dhoka hai zindagī to nahīñ

    samajh rahā huuñ ki apnā banā liyā hai unheñ

    isī naam mohabbat sādgī to nahīñ

    lagā rahā huuñ laboñ hañsī se andāza

    ki mere ġham talab meñ koī kamī to nahīñ

    nafas nafas pe ye hotā hai kyuuñ mujhe mahsūs

    hayāt tujh se alag rah ke ḳhud-kushī to nahīñ

    mire qarīb se begāna-vār guzrā hai

    maiñ ajnabī use samjhūñ vo ajnabī to nahīñ

    ye kis liye mirī āñkhoñ meñ aa ga.e aañsū

    ḳhayāl-e-ḳhātir-e-ahbāb meñ kamī to nahīñ

    ye kis ḳhushī meñ manāte haiñ jashn ahl-e-chaman

    kalī ḳhuun huā hai kalī hañsī to nahīñ

    nafas nafas meñ hai mānūs nik.hatoñ ḳhirām

    chhupā huā koī mere qarīb to nahīñ

    samajh rahā huuñ jise barq chamak 'shā.ir'

    kahīñ vo mere nasheman raushnī to nahīñ

    hansi labon pe hai dil mein shaguftagi to nahin

    ye ek latif sa dhoka hai zindagi to nahin

    samajh raha hun ki apna bana liya hai unhen

    isi ka nam mohabbat ki sadgi to nahin

    laga raha hun labon ki hansi se andaza

    ki mere gham ki talab mein koi kami to nahin

    nafas nafas pe ye hota hai kyun mujhe mahsus

    hayat tujh se alag rah ke KHud-kushi to nahin

    mere qarib se begana-war guzra hai

    main ajnabi use samjhun wo ajnabi to nahin

    ye kis liye meri aankhon mein aa gae aansu

    KHayal-e-KHatir-e-ahbab mein kami to nahin

    ye kis KHushi mein manate hain jashn ahl-e-chaman

    kali ka KHun hua hai kali hansi to nahin

    nafas nafas mein hai manus nikhaton ka KHiram

    chhupa hua koi mere qarib hi to nahin

    samajh raha hun jise barq ki chamak 'shair'

    kahin wo mere nasheman ki raushni to nahin

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Shaayar Lakhnavi

    Shaayar Lakhnavi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now