hansi thi lab pe chashm-e-nam se pahle
hañsī thī lab pe chashm-e-nam se pahle
tumhāre hijr ke is ġham se pahle
ye mausīqī to kal kā mājrā hai
mirī āvāz thī sargam se pahle
zamāne se hai sīkhā ye hunar kyā
thī vāzeh guftugū mub.ham se pahle
yaqīñ thā har ḳhushī hai jāvedānī
tire baḳhshe ġham-e-paiham se pahle
bas ab rahtā hai dil meñ ranj terā
tirī tasvīr thī is ġham se pahle
'ajab aaseb thā ḳhāmoshiyoñ kā
mirī paa.el kī is chham-chham se pahle
lagī rahtī hai daa.im jaañ kī baazī
thā zahr-e-‘ishq zahr-e-ġham se pahle
bahāroñ kā samāñ rahtā thā paiham
tumhāre hijr ke mausam se pahle
sañvartī hī nahīñ jo zulf terī
bahut āsāñ thī pech-o-ḳham se pahle
nishāna kaun thā kis kis ko tum ne
asiir apnā kiyā thā ham se pahle
tumhāre naam kī thī guuñj paiham
mirī sāñsoñ meñ zer-o-bam se pahle
kisī sayyāre par rahte the ham tum
vujūd-e-havvā-o-ādam se pahle
na thī shāhī se kam merī faqīrī
mirā kaasa thā jām-e-jam se pahle
balā-e-'ishq tab lāhaq nahīñ thī
suhūlat thī bahut jokham se pahle
yahāñ aa.e ga.e 'nasrīn' kitne
mohabbat karne vaale ham se pahle
hansi thi lab pe chashm-e-nam se pahle
tumhaare hijr ke is gham se pahle
ye mausiqi to kal ka majra hai
meri aawaz thi sargam se pahle
zamane se hai sikha ye hunar kya
thi wazeh guftugu mubham se pahle
yaqin tha har KHushi hai jawedani
tere baKHshe gham-e-paiham se pahle
bas ab rahta hai dil mein ranj tera
teri taswir thi is gham se pahle
'ajab aaseb tha KHamoshiyon ka
meri pael ki is chham-chham se pahle
lagi rahti hai daim jaan ki bazi
tha zahr-e-‘ishq zahr-e-gham se pahle
bahaaron ka saman rahta tha paiham
tumhaare hijr ke mausam se pahle
sanwarti hi nahin jo zulf teri
bahut aasan thi pech-o-KHam se pahle
nishana kaun tha kis kis ko tum ne
asir apna kiya tha hum se pahle
tumhaare nam ki thi gunj paiham
meri sanson mein zer-o-bam se pahle
kisi sayyare par rahte the hum tum
wujud-e-hawwa-o-adam se pahle
na thi shahi se kam meri faqiri
mera kasa tha jam-e-jam se pahle
bala-e-'ishq tab lahaq nahin thi
suhulat thi bahut jokham se pahle
yahan aae gae 'nasrin' kitne
mohabbat karne wale hum se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.