har bar ubharta hun to kya dekhta hun main
har baar ubhartā huuñ to kyā dekhtā huuñ maiñ
kuchh aur ḳhayālāt meñ gahrā.ī huī hai
kahne ko sahī saath hai mere vo abhī tak
hujre meñ abhī tak to bahār aa.ī huī hai
maiñ kitne ġhazāloñ kā karūñ pīchhā abhī aur
kah pā.ūñ tire hijr kī bharpā.ī huī hai
jo 'ahd tumhārā hai ki ham baaz na aa.eñ
ham ne bhī tamāshe kī qasam khaa.ī huī hai
taiñtīs baras kis ke kaho saath guzāre
jo haal hī meñ ḳhud se shanāsā.ī huī hai
'tarkash' vo koī aur hai kartā hai suḳhan jo
tujh se to faqat qāfiya-paimā.ī huī hai
har bar ubharta hun to kya dekhta hun main
kuchh aur KHayalat mein gahrai hui hai
kahne ko sahi sath hai mere wo abhi tak
hujre mein abhi tak to bahaar aai hui hai
main kitne ghazalon ka karun pichha abhi aur
kah paun tere hijr ki bharpai hui hai
jo 'ahd tumhaara hai ki hum baz na aaen
hum ne bhi tamashe ki qasam khai hui hai
taintis baras kis ke kaho sath guzare
jo haal hi mein KHud se shanasai hui hai
'tarkash' wo koi aur hai karta hai suKHan jo
tujh se to faqat qafiya-paimai hui hai
- Book : Udaas Logon Ka Hona Bahut Zaruri Hai (Pg. 104)
- Author : Tarkash Pradeep
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.