Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har dil ke muqaddar mein mohabbat nahin hoti

Sada Ambalvi

har dil ke muqaddar mein mohabbat nahin hoti

Sada Ambalvi

MORE BYSada Ambalvi

    har dil ke muqaddar meñ mohabbat nahīñ hotī

    har shaḳhs ke hisse meñ ye ne'mat nahīñ hotī

    mil jaa.e mohabbat jab ai dost sahārā

    phir aur sahāre zarūrat nahīñ hotī

    us din mujhe lagtā hai koī paap huā hai

    jis din tire kūche ziyārat nahīñ hotī

    karte haiñ gila tum se tumheñ apnā samajh ke

    ġhairoñ se to ai dost shikāyat nahīñ hotī

    jalnā hai patange to jal soz-e-jigar se

    'āshiq ko to ātish zarūrat nahīñ hotī

    kis darja hai masrūf na.e daur insāñ

    ḳhud se bhī ise milne fursat nahīñ hotī

    bin tere karūñ ziist meñ tauba mirī tauba

    mujh se to mirī jaan ye jur.at nahīñ hotī

    kuchh kaam nahīñ aatī hai mehnat bhī bashar

    jab tak mire maulā tirī rahmat nahīñ hotī

    mehnat se kamā ke 'sadā' apnī guzar kar

    jo muft mile us meñ to barakat nahīñ hotī

    har dil ke muqaddar mein mohabbat nahin hoti

    har shaKHs ke hisse mein ye ne'mat nahin hoti

    mil jae mohabbat ka jab ai dost sahaara

    phir aur sahaare ki zarurat nahin hoti

    us din mujhe lagta hai koi pap hua hai

    jis din tere kuche ki ziyarat nahin hoti

    karte hain gila tum se tumhein apna samajh ke

    ghairon se to ai dost shikayat nahin hoti

    jalna hai patange to tu jal soz-e-jigar se

    'ashiq ko to aatish ki zarurat nahin hoti

    kis darja hai masruf nae daur ka insan

    KHud se bhi ise milne ki fursat nahin hoti

    bin tere karun zist mein tauba meri tauba

    mujh se to meri jaan ye jurat nahin hoti

    kuchh kaam nahin aati hai mehnat bhi bashar ki

    jab tak mere maula teri rahmat nahin hoti

    mehnat se kama ke tu 'sada' apni guzar kar

    jo muft mile us mein to barakat nahin hoti

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now