har ek hath mein patthar hai kya kiya jae
har ek haath meñ patthar hai kyā kiyā jaa.e
ye aa.ine kā muqaddar hai kyā kiyā jaa.e
maiñ jis ke hijr se mahzūz honā chāhtā huuñ
mujhe vo shaḳhs mayassar hai kyā kiyā jaa.e
ye terā haath nahīñ hai hamāre shāne par
koī niDhāl kabūtar hai kyā kiyā jaa.e
mirā gavāh nahīñ bantā andarūn mirā
yahī mu'āmla bāhar hai kyā kiyā jaa.e
tumhārā shahr to 'aadī hai jhuuT sunñe kā
hamāre haath meñ sāġhar hai kyā kiyā jaa.e
har ek hath mein patthar hai kya kiya jae
ye aaine ka muqaddar hai kya kiya jae
main jis ke hijr se mahzuz hona chahta hun
mujhe wo shaKHs mayassar hai kya kiya jae
ye tera hath nahin hai hamare shane par
koi niDhaal kabutar hai kya kiya jae
mera gawah nahin banta andarun mera
yahi mu'amla bahar hai kya kiya jae
tumhaara shahr to 'adi hai jhuT sunne ka
hamare hath mein saghar hai kya kiya jae
- Book : Agar Main Sher Na Kahta (Pg. 107)
- Author :Abbas Tabish
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.