Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har ek ka hami wo musibat mein hua hai

Inayatullah Raushan Badauni

har ek ka hami wo musibat mein hua hai

Inayatullah Raushan Badauni

MORE BYInayatullah Raushan Badauni

    har ek haamī vo musībat meñ huā hai

    jis koī duniyā meñ nahīñ us ḳhudā hai

    ḳhāmosh huuñ maiñ dekh ke raftār-e-zamāna

    hairat sifat-e-dīda-e-naqsh-e-kaf-e-pā hai

    achchhe ho to achchhe ho bure ho to bure ho

    sunte ho jo āvāz vo gumbad sadā hai

    ik umr huī dekhte nairang-e-zamāna

    vo aḳhtar-e-qismat huuñ jo gardish meñ rahā hai

    kyoñ ḳhūn-e-jigar khā.iye takmīl-e-hunar meñ

    har nāqis-e-fan aaj amīrush-shu'arā hai

    achchhā nahīñ hotā kabhī bīmār-e-mohabbat

    ulfat vo maraz hai ki ajal jis davā hai

    behtar hai ki baaz aa sitam-ījād o jafā se

    ai charḳh bure kaam anjām burā hai

    āsāñ nahīñ ai jaan safar mulk-e-adam

    suntā huuñ ki dushvār bahut rāh-e-fanā hai

    raushan hai jahāñ nuur se us parda-nashīñ ke

    ḳhurshīd meñ zarra ruḳh-e-raushan ziyā hai

    arbāb-e-karam phūlte phalte haiñ hamesha

    sarsabz nihāl-e-karam-e-ahl-e-saḳhā hai

    nāqis ke muāfiq hai ḳhilāf ahl-e-hunar ke

    badlī huī 'raushan' ye zamāne havā hai

    har ek ka hami wo musibat mein hua hai

    jis ka koi duniya mein nahin us ka KHuda hai

    KHamosh hun main dekh ke raftar-e-zamana

    hairat sifat-e-dida-e-naqsh-e-kaf-e-pa hai

    achchhe ho to achchhe ho bure ho to bure ho

    sunte ho jo aawaz wo gumbad ki sada hai

    ek umr hui dekhte nairang-e-zamana

    wo aKHtar-e-qismat hun jo gardish mein raha hai

    kyon KHun-e-jigar khaiye takmil-e-hunar mein

    har naqis-e-fan aaj amirush-shu'ara hai

    achchha nahin hota kabhi bimar-e-mohabbat

    ulfat wo maraz hai ki ajal jis ki dawa hai

    behtar hai ki baz aa sitam-ijad o jafa se

    ai charKH bure kaam ka anjam bura hai

    aasan nahin ai jaan safar mulk-e-adam ka

    sunta hun ki dushwar bahut rah-e-fana hai

    raushan hai jahan nur se us parda-nashin ke

    KHurshid mein zarra ruKH-e-raushan ki ziya hai

    arbab-e-karam phulte phalte hain hamesha

    sarsabz nihaal-e-karam-e-ahl-e-saKHa hai

    naqis ke muafiq hai KHilaf ahl-e-hunar ke

    badli hui 'raushan' ye zamane ki hawa hai

    Source:

    Deewan-e-Raushan (Pg. 30)

    • Author: Inayatullah Raushan Badauni
      • Publisher: Nizami Press, Badaun
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now