har ghaDi sang-e-malamat KHud pe mat phenka karo
har ghaḌī sang-e-malāmat ḳhud pe mat pheñkā karo
be-hisī baḌh jā.egī ḳhud se na yuuñ uljhā karo
talḳhiyoñ kī raakh meñ lazzat kī chingārī bhī hai
ye haqīqat hai ise tum laakh jhuThlāyā karo
kyā haqīqat hai tumhārī ḳhud 'ayāñ ho jā.egī
ek nāqid kī tarah ḳhud ko kabhī parkhā karo
chāñd meñ dhabba hai lekin chāñdnī be-dāġh hai
vasf kī mīzān meñ har jins ko tolā karo
tum bhī puuje jāoge 'shādāb' sūraj kī tarah
shaḳhsiyat kī raushnī har samt phailāyā karo
har ghaDi sang-e-malamat KHud pe mat phenka karo
be-hisi baDh jaegi KHud se na yun uljha karo
talKHiyon ki rakh mein lazzat ki chingari bhi hai
ye haqiqat hai ise tum lakh jhuThlaya karo
kya haqiqat hai tumhaari KHud 'ayan ho jaegi
ek naqid ki tarah KHud ko kabhi parkha karo
chand mein dhabba hai lekin chandni be-dagh hai
wasf ki mizan mein har jins ko tola karo
tum bhi puje jaoge 'shadab' suraj ki tarah
shaKHsiyat ki raushni har samt phailaya karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.