har haal mein wo sath hamare hi khaDa hai
har haal meñ vo saath hamāre hī khaḌā hai
ham jaise ġharīboñ kā bhī duniyā meñ ḳhudā hai
hālāñki tū haqdār nahīñ is kā sitamgar
jā phir bhī tire vāste is dil se du'ā hai
ab saarā zamāna hī muḳhālif hai hamāre
ham ne jo mohabbat se tirā naam liyā hai
kuchh din to tirā ġham bhī rahā hai mire dil meñ
do chaar qadam vo bhī mire saath chalā hai
sāñsoñ meñ tire pyaar kī ḳhushbū hai mirī jaan
is dil ke darīchoñ pe tirā naam likhā hai
ab ḳhaak meñ lipTā hai mire ḳhvāb kī mānind
kuchh din to havāoñ meñ mirā 'ishq uḌā hai
ye baat alag hai ki mujhe bhuul gayā vo
vo shaḳhs kisī vaqt mire saath rahā hai
'tamsīla' maiñ ḳhvāb apne yahāñ bechne aa.ī
kyā shahr-e-sitamgar meñ koī shaḳhs nayā hai
har haal mein wo sath hamare hi khaDa hai
hum jaise gharibon ka bhi duniya mein KHuda hai
haalanki tu haqdar nahin is ka sitamgar
ja phir bhi tere waste is dil se du'a hai
ab sara zamana hi muKHalif hai hamare
hum ne jo mohabbat se tera nam liya hai
kuchh din to tera gham bhi raha hai mere dil mein
do chaar qadam wo bhi mere sath chala hai
sanson mein tere pyar ki KHushbu hai meri jaan
is dil ke darichon pe tera nam likha hai
ab KHak mein lipTa hai mere KHwab ki manind
kuchh din to hawaon mein mera 'ishq uDa hai
ye baat alag hai ki mujhe bhul gaya wo
wo shaKHs kisi waqt mere sath raha hai
'tamsila' main KHwab apne yahan bechne aai
kya shahr-e-sitamgar mein koi shaKHs naya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.