Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har ek ko dusre se adawat hai aaj-kal

Qazi Mohammad Wakeel

har ek ko dusre se adawat hai aaj-kal

Qazi Mohammad Wakeel

MORE BYQazi Mohammad Wakeel

    har ik ko dūsre se adāvat hai āj-kal

    kohrām zindagī alāmat hai āj-kal

    lab kholnā jurm-e-baġhāvat hai āj-kal

    jailoñ meñ band shān-e-ḳhitābat hai āj-kal

    sar pe pahan ke nikle haiñ dastār sab magar

    izzat kahāñ kisī salāmat hai āj-kal

    andar TuuT phuuT hai bikhrā huā huuñ maiñ

    mujh ko bahut apnī zarūrat hai āj-kal

    apnī ġharaz se miltā hai miltā hai jo koī

    sach pūchhiye to kis ko mohabbat hai āj-kal

    ham ne phir apnī aas ke ḳheme jalā diye

    dar-pesh ham ko ik na.ī hijrat hai āj-kal

    mahfil bhī un raas na aa.ī hameñ 'vakīl'

    be-kaif ajiib tabī.at hai āj-kal

    har ek ko dusre se adawat hai aaj-kal

    kohram zindagi ki alamat hai aaj-kal

    lab kholna hi jurm-e-baghawat hai aaj-kal

    jailon mein band shan-e-KHitabat hai aaj-kal

    sar pe pahan ke nikle hain dastar sab magar

    izzat kahan kisi ki salamat hai aaj-kal

    andar ki TuT phuT hai bikhra hua hun main

    mujh ko bahut hi apni zarurat hai aaj-kal

    apni gharaz se milta hai milta hai jo koi

    sach puchhiye to kis ko mohabbat hai aaj-kal

    hum ne phir apni aas ke KHeme jala diye

    dar-pesh hum ko ek nai hijrat hai aaj-kal

    mahfil bhi un ki ras na aai hamein 'wakil'

    be-kaif si ajib tabiat hai aaj-kal

    Source:

    اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 135)

      • Publisher: کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now