Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har ek manzil qayam-e-rahguzar malum hoti hai

Qamar Badarpuri

har ek manzil qayam-e-rahguzar malum hoti hai

Qamar Badarpuri

MORE BYQamar Badarpuri

    har ik manzil qayām-e-rahguzar ma.alūm hotī hai

    hameñ to zindagī paiham safar ma.alūm hotī hai

    vahī tanhā.ī aalam vahī be-raunaqī har

    bayābāñ terī ḳhāmoshī bhī ghar ma.alūm hotī hai

    hamāre hāsidoñ chaal āḳhir rañg le aa.ī

    bahut badlī huī un nazar ma.alūm hotī hai

    masīhā bhuul terī davā kuchh kaam aa.egī

    ki har tadbīr ab to be-asar ma.alūm hotī hai

    agar do vaqt roTī mil jaa.e ġhanīmat hai

    miyāñ faaqe meñ guThlī bhī samar ma.alūm hotī hai

    añdherī raat meñ ai jān-e-jāñ bhaTke musāfir ko

    diye lau bhī jaise ik qamar ma.alūm hotī hai

    har ek manzil qayam-e-rahguzar malum hoti hai

    hamein to zindagi paiham safar malum hoti hai

    wahi tanhai ka aalam wahi be-raunaqi har su

    bayaban teri KHamoshi bhi ghar malum hoti hai

    hamare hasidon ki chaal aaKHir rang le aai

    bahut badli hui un ki nazar malum hoti hai

    masiha bhul ja teri dawa kuchh kaam aaegi

    ki har tadbir ab to be-asar malum hoti hai

    agar do waqt ki roTi hi mil jae ghanimat hai

    miyan faqe mein guThli bhi samar malum hoti hai

    andheri raat mein ai jaan-e-jaan bhaTke musafir ko

    diye ki lau bhi jaise ek qamar malum hoti hai

    Source:

    Mujalla Dastavez (Pg. 648)

    • Author: Aziz Nabeel
      • Edition: 2013-14
      • Publisher: Edarah Dastavez
      • Year of Publication: 2013-14
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now