har ek maqam se guzrunga zindagi ke liye
har ik maqām se guzrūñgā zindagī ke liye
tamām ranj gavārā tirī ḳhushī ke liye
karam kiyā mirī jānib jo tum ne dekh liyā
taḌap rahā thā añdheroñ meñ raushnī ke liye
base hue haiñ unhīñ se tamām vīrāne
bahār DhūñD rahe the jo zindagī ke liye
baġhair dard kise kaun yaad kartā hai
yahīñ to ġham kī zarūrat hai aadmī ke liye
yaqīn hai ki sahar tak pahuñch hī jā.ūñgā
guzar rahā huuñ añdheroñ meñ raushnī ke liye
baġhair sa’y-e-musalsal to kuchh nahīñ hotā
junūñ bhī kitnā zarūrī hai āgahī ke liye
samajh chukā huuñ ki ādāb-e-dostī kyā haiñ
ḳhulūs-e-dil kī zarūrat hai dostī ke liye
na jaane kitne patangoñ ko kar diyā be-nūr
charāġh kis ne jalāyā hai raushnī ke liye
kisī ko husn diyā hai kisī ko 'ishq 'fidā'
har ek chiiz nahīñ hai har ik kisī ke liye
har ek maqam se guzrunga zindagi ke liye
tamam ranj gawara teri KHushi ke liye
karam kiya meri jaanib jo tum ne dekh liya
taDap raha tha andheron mein raushni ke liye
base hue hain unhin se tamam virane
bahaar DhunD rahe the jo zindagi ke liye
baghair dard kise kaun yaad karta hai
yahin to gham ki zarurat hai aadmi ke liye
yaqin hai ki sahar tak pahunch hi jaunga
guzar raha hun andheron mein raushni ke liye
baghair sa’y-e-musalsal to kuchh nahin hota
junun bhi kitna zaruri hai aagahi ke liye
samajh chuka hun ki aadab-e-dosti kya hain
KHulus-e-dil ki zarurat hai dosti ke liye
na jaane kitne patangon ko kar diya be-nur
charagh kis ne jalaya hai raushni ke liye
kisi ko husn diya hai kisi ko 'ishq 'fida'
har ek chiz nahin hai har ek kisi ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.