har ek taswir ko khiDki se bahar kaise phenkoge
har ik tasvīr ko khiḌkī se bāhar kaise pheñkoge
nigāhoñ se jo chipke haiñ vo manzar kaise pheñkoge
jhaTak kar pheñk doge chand an-chāhe ḳhayāloñ ko
magar kāñdhoñ pe ye rakkhā huā sar kaise pheñkoge
agar itnā daroge apne sar par choT lagne se
to phir tum aam ke peḌoñ pe patthar kaise pheñkoge
ḳhayāloñ ko bayāñ ke dā.eroñ meñ lāoge kyūñkar
kamandeñ bhāgtī parchhā.iyoñ par kaise pheñkoge
kabhī sachchā.iyoñ kī dhuup meñ baiThe nahīñ ab tak
tum apne sar se ye ḳhvāboñ kī chādar kaise pheñkoge
to phir kyoñ is ko āñkhoñ meñ sajā kar rakh nahīñ lete
tum is bekār duniyā ko uThā kar kaise pheñkoge
har ek taswir ko khiDki se bahar kaise phenkoge
nigahon se jo chipke hain wo manzar kaise phenkoge
jhaTak kar phenk doge chand an-chahe KHayalon ko
magar kandhon pe ye rakkha hua sar kaise phenkoge
agar itna daroge apne sar par choT lagne se
to phir tum aam ke peDon pe patthar kaise phenkoge
KHayalon ko bayan ke daeron mein laoge kyunkar
kamanden bhagti parchhaiyon par kaise phenkoge
kabhi sachchaiyon ki dhup mein baiThe nahin ab tak
tum apne sar se ye KHwabon ki chadar kaise phenkoge
to phir kyon is ko aankhon mein saja kar rakh nahin lete
tum is bekar duniya ko uTha kar kaise phenkoge
- Book : Hoshiyari Dil-e-Nadan Bahut Karta Hai (Pg. 33)
- Author :Irfan Siddiqi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.