har kisi ke samne tishna-labi khulti nahin
har kisī ke sāmne tishna-labī khultī nahīñ
ik samundar ke sivā sab se nadī khultī nahīñ
ḳhud-numā.ī ke liye ik aa.ina bhī chāhiye
jhiil par paḌne se pahle chāñdnī khultī nahīñ
dil ke rishtoñ meñ zarūrī haiñ bahut be-bākiyāñ
ho takalluf darmiyāñ to dostī khultī nahīñ
shaam ke Dhalne se pahle ye charāġhāñ kis liye
tīrgī gahrī na ho to raushnī khultī nahīñ
ab hamāre biich darvāza nahīñ dīvār hai
aur koī dīvār dastak se kabhī khultī nahīñ
har nayā din le ke aatā hai na.ī hairāniyāñ
āḳhirī sāñsoñ talak ye zindagī khultī nahīñ
ham junūñ kī sarhadeñ bhī paar kar aa.e magar
āgahī kī raah is ke baa'd bhī khultī nahīñ
har kisi ke samne tishna-labi khulti nahin
ek samundar ke siwa sab se nadi khulti nahin
KHud-numai ke liye ek aaina bhi chahiye
jhil par paDne se pahle chandni khulti nahin
dil ke rishton mein zaruri hain bahut be-bakiyan
ho takalluf darmiyan to dosti khulti nahin
sham ke Dhalne se pahle ye charaghan kis liye
tirgi gahri na ho to raushni khulti nahin
ab hamare bich darwaza nahin diwar hai
aur koi diwar dastak se kabhi khulti nahin
har naya din le ke aata hai nai hairaniyan
aaKHiri sanson talak ye zindagi khulti nahin
hum junun ki sarhaden bhi par kar aae magar
aagahi ki rah is ke ba'd bhi khulti nahin
- Book : Raushni Jaari Karo (Pg. 58)
- Author : Manish Shukla
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.