har koi hai madari aur apne madar ka
har koī hai madārī aur apne madār kā
hattā ki raqs dekhiye lail-o-nahār kā
is vaj.h se zamīn pe gaḌhtī hai merī aañkh
gaḌ jaa.e koī kāñTā na mizhgān-e-yār kā
pahle se hai hī haath meñ tasbīh kī laḌī
kartā huuñ kyā maiñ dekhiye bāñhoñ ke haar kā
ruktā huuñ is liye ki mire raftagāñ ruke
rasta hai varna sāmne mere farār kā
is baar ek do nahīñ saare gunāhgār
is baar kyā upaa.e hai kashtī ke bhaar kā
aisā na ho ki rind ye kah kar chhuḌā.eñ jaan
dahqāñ kī thī sharāb piyāla kumhār kā
us ko uḌā liyā hai koī aur jauharī
mahñgā paḌā hai aaj kā sonā sunār kā
sāmān ḳhuub ho to jagah se hai kyā ġharaz
biktā hai kanpūr meñ chamḌā bihār kā
har koi hai madari aur apne madar ka
hatta ki raqs dekhiye lail-o-nahaar ka
is wajh se zamin pe gaDhti hai meri aankh
gaD jae koi kanTa na mizhgan-e-yar ka
pahle se hai hi hath mein tasbih ki laDi
karta hun kya main dekhiye banhon ke haar ka
rukta hun is liye ki mere raftagan ruke
rasta hai warna samne mere farar ka
is bar ek do nahin sare gunahgar
is bar kya upae hai kashti ke bhaar ka
aisa na ho ki rind ye kah kar chhuDaen jaan
dahqan ki thi sharab piyala kumhaar ka
us ko uDa liya hai koi aur jauhari
mahnga paDa hai aaj ka sona sunar ka
saman KHub ho to jagah se hai kya gharaz
bikta hai kanpur mein chamDa bihaar ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.