Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har koi shahr mein paband-e-ana lagta hai

Nadir Siddiqui

har koi shahr mein paband-e-ana lagta hai

Nadir Siddiqui

MORE BYNadir Siddiqui

    har koī shahr meñ pāband-e-anā lagtā hai

    kyā tamāshā hai ki har shaḳhs ḳhudā lagtā hai

    maiñ ne hijrat ke bayābāñ meñ riyāzat hai

    ab ye jañgal mujhe firdaus-numā lagtā hai

    dīda-e-shoḳh meñ dekhā hai utar kar maiñ ne

    husn pindār hai parde meñ bhalā lagtā hai

    jab tire ġham se nikalne na sūrat nikle

    terā vahshī kisī dīvār se lagtā hai

    is ko sarkār ke bose sharaf hāsil hai

    varna kaalā ye patthar mirā kyā lagtā hai

    ab bhī jaatā huuñ kaTe peḌ saaya lene

    muddatoñ se jo bhalā thā so bhalā lagtā hai

    har koi shahr mein paband-e-ana lagta hai

    kya tamasha hai ki har shaKHs KHuda lagta hai

    main ne hijrat ke bayaban mein riyazat ki hai

    ab ye jangal mujhe firdaus-numa lagta hai

    dida-e-shoKH mein dekha hai utar kar main ne

    husn pindar hai parde mein bhala lagta hai

    jab tere gham se nikalne ki na surat nikle

    tera wahshi kisi diwar se ja lagta hai

    is ko sarkar ke bose ka sharaf hasil hai

    warna kala sa ye patthar mera kya lagta hai

    ab bhi jata hun kaTe peD ka saya lene

    muddaton se jo bhala tha so bhala lagta hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now