har lamha teri yaad baDhane ke liye hai
har lamha tirī yaad baḌhāne ke liye hai
so.e mire jazboñ ko jagāne ke liye hai
chhāloñ se mire paañv kā rishta ye purānā
tapte hue sahrā ko Darāne ke liye hai
be-sūd pareshāñ haiñ mujhe sochne vaale
raftār to ḳhvābīda jagāne ke liye hai
tum sang-tarāshoñ ko bulā kar yahāñ laanā
ik tujh se hasīñ aur banāne ke liye hai
ik halkī jhalak apnī dikhā kar chale jaanā
nazroñ se mirī mujh ko girāne ke liye hai
yuuñ hī to nahīñ chaltī havā tez chaman meñ
sūkhe hue pattoñ ko jhaḌāne ke liye hai
har ġham ko mire dil ne chhupā kar yuuñ rakhā hai
'aslam' ko ye nazroñ se bachāne ke liye hai
har lamha teri yaad baDhane ke liye hai
soe mere jazbon ko jagane ke liye hai
chhaalon se mere panw ka rishta ye purana
tapte hue sahra ko Darane ke liye hai
be-sud pareshan hain mujhe sochne wale
raftar to KHwabida jagane ke liye hai
tum sang-tarashon ko bula kar yahan lana
ek tujh se hasin aur banane ke liye hai
ek halki jhalak apni dikha kar chale jaana
nazron se meri mujh ko girane ke liye hai
yun hi to nahin chalti hawa tez chaman mein
sukhe hue patton ko jhaDane ke liye hai
har gham ko mere dil ne chhupa kar yun rakha hai
'aslam' ko ye nazron se bachane ke liye hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.