har nafas jalta chala jae pighalta chala jae
har nafas jaltā chalā jaa.e pighaltā chalā jaa.e
qāfila dil kā tirī oT meñ chaltā chalā jaa.e
raushnī pesh-e-nazar ho magar itnī bhī na ho
aadmī aag ke sāñche meñ hī Dhaltā chalā jaa.e
zaḳhm-e-tanhā.ī burā yuuñ bhī nahīñ hai lekin
aur achchhā hai agar phūltā phaltā chalā jaa.e
ab zarā kār-e-mohabbat se mafar koī ghaḌī
āḳhir is mauj meñ kab tak koī chaltā chalā jaa.e
tirī palkoñ kī muñDeroñ se utartī huī dhuup
din barābar mire andar kahīñ Dhaltā chalā jaa.e
zaḳhm bhar jaane ko hai aur ye moḌ aisā hai
jahāñ kirdār kahānī se nikaltā chalā jaa.e
dil kisī aur Thikāne kā diyā hai 'shāhīn'
ye kisī aur zamāne meñ na jaltā chalā jaa.e
har nafas jalta chala jae pighalta chala jae
qafila dil ka teri oT mein chalta chala jae
raushni pesh-e-nazar ho magar itni bhi na ho
aadmi aag ke sanche mein hi Dhalta chala jae
zaKHm-e-tanhai bura yun bhi nahin hai lekin
aur achchha hai agar phulta phalta chala jae
ab zara kar-e-mohabbat se mafar koi ghaDi
aaKHir is mauj mein kab tak koi chalta chala jae
teri palkon ki munDeron se utarti hui dhup
din barabar mere andar kahin Dhalta chala jae
zaKHm bhar jaane ko hai aur ye moD aisa hai
jahan kirdar kahani se nikalta chala jae
dil kisi aur Thikane ka diya hai 'shahin'
ye kisi aur zamane mein na jalta chala jae
- Book : Shaam Ke Baad Kuch Nahin (Pg. 68)
- Author :Shaheen Abbas
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.